Desi Log

Diwali se Pehle Ghar ki Safai Kese Karein

Diwali

Diwali

Diwali pe Ghar ki Safai :

September khatam hone ke sath hi India me Mausam bhi change hone lagta hai and October and November bada hi suhavna mausam hota hai jisme Bharat ka sabse bada tyohar Diwali bi manaya jata hai. Is mausam me har taraf ek umang hoti hai dil khushiyo se bhara rehta hai, aur isi mausam me Diwali parv manaya jata hai jo Bhagwan Shree Ram Chandra ji ke Ayodhya wapis ane ki khushi me manaya jata hai.

Is tayohar ka Bharat varsh me bahot hi khas sthan hai Jisme diwali ane se pehle hi log apne gharon ki evam aas pados ki saaf safai karna shuru kar dete hain, aur vatavaran ko shudh karte hain.

Aaj ham isi vishay pe charcha karenge ki diwali ane se 1 hafta pehle hi Suniyojit tarike se apne gharon ki puri safai kese ki jaye. 

Diwali se kareeb 2 hafte pehle hi apne ghar ko saaf karne ki suniyojit planning karein, kuch vishesh tips niche di gayi hain. 

  1. Safai ki Pre Planning : Ghar ki safai ke liye har cheez ke liye Alag yojna banayie jaise ki kis din kon si cheez ki safai karni hai Iske liye aap 1 copy pe apna plan likh lo taki usko aap ek ache tarike se implement kar payen . Jaise ki

  2. Bekar cheezen : Ghar ka saara kabad ko ikhatha karein jaise purane newspaper , junk , kitchen extra, purane kapde , Shoes adi sab ikatha kar ke dispose kar diyjiye jis se apke ghar me free space badega aur ghar b saaf dikhega , ye cheezen hata dene se ghar me negative energy bhi door hoti hai.

  3. Jaale Spiderweb saaf karein : Ek lambe jhadu se ap ghar ke kone kone se makde ke jalon ko saaf kariye and uske bad ap ache se dusting bhi kariye taki makde kahin aur apna ghar na bna payen

  4. Fan Blade Cleaning : Aksar diwali ate ate ghar ke fan blades dust pakad lete hai jinhe saaf karna bda hi jaroori hai , diwali pe ap dusting ke saath ghar ke fan blades ko bhi saaf jaroor karein. Ghar ke fan blades agar jyada gande hain to ap fan blades khol ke une ache cleaner se saaf karwaiye.

  5. Farsh ki Safai : Ghar ke farsh ki safai bi ache se professional cleaner se kariye jo ajkal bazaar me badi asani se mil jate hai. Waise to hum apne ghar ke farsh ki safai reegular base pe karte rehte hai lekin diwali ane se pehle yani saal ke 1 baar apne ghar ke farsh ko professional cleaner ki sahayta se clean kariye jis se ki farsh ki proper cleaning ho sake.

  6. Kapdon ki Safai : Apne purane kapde jaise ki Clothes, Bedsheets, sofa covers, rugs, mats aadi ko bi saaf kijiye. 

  7. Kitchen Cleaning: Kitchen ki safai bahot hi jaroori kam hai jisme kafi time bhi lagta hai, kisi professional cleaner liquid ki madad se Kitchen me chiknai ko door kariye , chimney ko clean kariye. Sare Cookware,Bartan aur shelves ko saaf karein. Fridge Microwave aur pantry ko saaf karein and kitchen se sab unused items bahar nikal dijiye.

  8. Bathroom Safai: Bathroom me har tarah ke bacteria hote hai jise humein saaf karna bda jaroori hota hai, 1 acha se disinfectent cleaner lijiye aur us se bathroom ki safai kariye.

  9. Windows aur Mirrors: Apne ghar ki khidkiyon ko saaf akrna ka ye 1 acha mauka hota hai, Glass cleaner lijiye and newspaper se apne glass mirrors and khidkiyon ko saaf kariye jis se un pe pure saal se jami dust bi hat jaye.

  10. Ghar ke Bahar ki Safai: Ghar ke bahar aur aas-paas ki safai bhi kariye purani cheezen aur crap ko ikhatha kariye, ghass aur mold nikaliye, aur garden ki bhi safai kariye.

  11. Decoration and Lights : Diwali pe ghar ki decoration bhi pehle se hi plan kar lijiye, lights ko ache se manage kar ke lagaiye taki diwali wale din ap chain se diwali ka tayohar mana payein 

  12. Diwali ane se pehle hi diwali ki safai ki tayari karna bhi jaroori hai jo silsilewar tarike se ki jani chahiye har 1 din 1 cheez ko saaf karne ka plan decide kar lena chahiye taki diwali ke baad bi ap us safai ka aanand utha sakein.

  13. Diwali humare bharatvarsh ka 1 bahot hi mahatavpurn tyohar hai jise pura hindostan badi hi dhoom dham se manata aur iska 1 emotional significance b hai jise log Shri Ram ji ke banwaas se lotne ki khusi me aur Satya ki Asatya pe vijay ke roop me manate hain.

Exit mobile version